Blogpost Vs WordPress Kounsa Platform Behatar Hai.......

Blogging start karne se pahle humare dimag me ye bat jarur aati hai ki blogging ke liye kounsa platform better hai. or mujhe kis par blogging karni chahiye. to chaliye aaj hum isi ke bare me baat karenge or sikhenge ki hume kis platform par blogging karni chahiye. humare pas wordpress
, blogger (blogpost) and kuch or option hai.  blogging ke liye kounsa badhiya hai. aakhir me humare pas 2 option bachte hai, wordpress or blogger, ye dono sabse important hai. or clearly ye kahna muskil hai ko kounsa jada better hai. agar ranking, populerty or search engine ke aadhar par kaha jaye to wordpress blogger se kafi had tak behatar hai. blogger me features kam hone ki wajah se log wordpress ko jada pasand karte hai.




blogspot vs wordpress                                                                                                                    Agar koi mujhse puche ki mujhe kisse starting karni chahiye wordpress ya blog.  to mera jawab hoga ki aap starting me kam se kam 3month blogger hi use kare. kyuki ye bilkul free or saral hai. aap ise aasani se manage kar sakte hai. jab aap blogging ko achi tarah samajh jaye to blogger se wordpress par shift kar le.
       Also Read: Youtube Par Video Ko Monetize Kaise Kare or Adsense Se Kaise Jode
Maine bhi bhi blogger se starting ki thi or jab mujhe blogging ki achi jankari ho gayi to maine wordpress par shift kar liya. starting me humare liye koi bhi kaam mushkil hota hai. magar dheere dheere hum kisi dusre blogger ki help se sabkch sikh sakte hai. mai storyu ko lamba nahi karna chahata so iske bare me hum fir bat karenge. chalye ab point par baat karte hai. to aapko kounsa platform choonna chahiye.

WordPress Ya Blogpost Kounsa Platform Sahi Hai Or Konsa Platform Choonna Chahiye

WordPress:

WordPress Kyo Choone,
wordpress aapko apne blog par compelet control deta hai. or aap blog ko apne hisab se manage kar sakte hai. yani aap apne blog par kch bhi kar sakte hai. aap khud ki files host kar sakte hai. seo par aapka full control rahta hai. aap apni pasand ka koi bhi plugin add kar sakte hai. jo aapke blog ko or bhi jada search engine friendly banata hai. isme unlimited features hai or aap humesha latest plugin use kar sakte hai. aapke shabdo me kahu to aap wordpress ko chahe jaise manage kar sakte hai. wordpress aapko wo sabkuch karne ki aajadi deta hai jo aap chahate hai. aap apne blogger blog ko bhi wordpress par install kar sakte hai. jisse aapke blogger blog ki sari posts wordpress par move ho jati hai.
Blogspot Kyo Choone,
Sabse important blogger bilkul free hai. manage karne me bahut aasan hai. jab aap blogging start karte hai to blogging sikhne ke liye blogpost sabse acha platform hai. aap person blogging karna chahate hai ya fir aap kewal apne vichar logo ke sath share karna chahate hai. or aapko blogging se income karne ki koi jarurart nahi hai to aap blogger use kar sakte ho. iska karan ye hai ki aapka search engine me visibilty par limited control hota hai. wordpress ki tulna me blogger me aapke pas limited featres hi hote hai. search engine me site show karne ke liye ye bat jaruri nahi hai ki aap kis platform par blogging karte hai. actualy search engine is bat par depend karta hai ki aapne kis metter se site ko search engine se submit kiya hai.
Maine jab blogger par blogging starting ki thi to mujhe search engine se sabse jada views milte the. or meri har new post 1hours me search engine me show hone lag jati thi. isliye ye core afwah hai. ki blogpost search engine blogpost ko kam depend karta hai.
Agar aap blogging ke bare me jada kuch nahi jante ho. or abhi aapne blogging me first kadam rakha hai to mai aapko suggestion karunga ki aap blogger hi choone.

Blogging ki starting me wordpress koi nahi

choose blogger  


READ MORE,..
http://hindi2help.blogspot.in/2015/11/laptop-kharidne-se-pehle-in-9-bato-ka.html
http://hindi2help.blogspot.in/2015/11/indian-flag-cursor-blog-or-website-ke.htmlhttp://hindi2help.blogspot.in/2015/11/blogpost-vs-wordpress-kounsa- platform.html
http://hindi2help.blogspot.in/2015/11/mobile-app-kaise-banaye-android-app.html
http://hindi2help.blogspot.in/2015/11/online-paisa-kaise-kamaye-url-shortener.html

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post