FEEDBURNER KA EMAIL DEVERY TIME KAISE CHANGE KARE


Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare

Online marketing me email delivery sabse important hai. jiski help se aap apne visitors tak new post ki notification bhejte ho. aaj mai aapko email delivery ki ek aysi trick batane ja raha hu. jis se aap or jada subscribers or visitors badha sakte ho. wo hai sahi time par email delivery. yani new post ki jankari subscribers ke pas kab bheji jani chahiye. to chaliye aage iske bare me thodi baat karte hai.



Feedburner Kyo Choone.

Google Feedburner google ki Free Email Service hai. agar aap blogger use karte hai to aapke liye ye sabse better hai. mai bhi feedburner use karta hu. free email services me feedburner hi sabse best hai. or adhikter log jo free email service use karte hai. sab feedburner ko use karte hai. mai aapko  isi ke liye suggest karunga.
Why To Change Email Delivery Time

Agar aap apni site par or jada subscriber dekhna chahate hai. to aapke visitors ko jab email milna chahiye jab wo bilkul free ho. or unke pas aapki email padne ka time ho.  agar aap hindi blogger hai to aapka target india ke audience honge. isliye aapko india ke time se delivery time set karna chahiye. Support Me India ka delivery time ai. kyuki ye ek hindi blog hai or india iska no.1 target hai. agar aapka target koi dusri country hai to behtar hoga ki aap usi ke time ke hisab se delivery time set kare.
 

Feedburner Ka Email Delivery Time Kaise Change Kare
 

Step 1

Go to Your Feedburner Account and log in by gmail id.

Ab  apne feeds par click kare.

1 -Publicize par click kare.

2 -Email Subscriptions” par click kare


Step 2

1 – “Delivery options” par click kare.

2 – apne country ka time set kare. agar india hai to GMT+5.30 set kare.

3 – aap email delivery kab karna chahate hai. time set kare.

4 – finaly save par click kare.

Best of luck, aapka email delivery time change ho gaya hai. ab aapke audience ko sahi time par aapki new post ki email milegi.

ummid hai aapko ye article pasand aaya hoga. agar ha to Support Me India ki new post ki delivery pane ke liye Subscribe jarur kare

Post a Comment

Post a Comment (0)

Previous Post Next Post